SONG DETAILS

Saiyaan, Tere Prem Ki Diwaani Ban Aayi Huun

BAHUT DIN HUYE

FilmBAHUT DIN HUYE
SingerLATA MANGESHKAR
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

o saiyaan, tere prem ki diwaani ban aayi huu
saiyaan, tere prem ki diwaani ban aayi huun - 3
mastaani ban aayi huun
diwaani ban aayi huun

kaisi udaasi saajan mukh par chhaayi
man ki bagiya rasiya kyuun murajhaayi - 2
teri umangon ki kahaani ban aayi huun
main teri umangon ki kahaani ban aayi huun
diwaani ban aayi huun
saiyaan, tere prem ki diwaani ban aayi huun

man mein sama ja mere sapanon ke raaja
ban ke nainon ka kaajal nainon mein aa ja - 2
raaja tere sapanon ki raani ban aayi huun
diwaani ban aayi huun
saiyaan, tere prem ki diwaani ban aayi huun