SONG DETAILS

Dil lagaakar hum ye samjhe

ZINDAGI AUR MAUT

FilmZINDAGI AUR MAUT
SingerMAHENDRA KAPOOR
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

Dil lagaakar hum ye samjhe, zindagi kya cheez hai -
Ishq kehte hain kise aur aashiqui kya cheez hai

Haay ye rukhsaar ke shole ye baahen marmari -2
Aap se mil kar ye do baatein samajh mein aa gayi
Dhoop kis ka naam hai aur chaandni kya cheez hai
Dil lagaakar hum ye samjhe

Aap ki shokhi ne kya kya roop dikh laaye hamein -2
Aap ki aankhon ne kya kya jaam pilwaaye hamein
Hosh kho baithhe to jaana bekhudi kya cheez hai
Dil lagaakar hum ye samjhe, zindagi kya cheez hai
Dil lagaakar hum ye samjhe

Aap ki raahon mein jabse hamne rakha hai qadam -2
Hamko ye mehsoos hota hai ki hain manzil pe hum
Koyi kya jaane mohabbat ki khushi kya cheez hai
Dil lagaakar hum ye samjhe