SONG DETAILS

Bhar Bhar Ke Pila

YASMEEN

FilmYASMEEN
SingerLATA MANGESHKAR, CHORUS
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

Cho :
Aa Ja ~
Aa Ja Aa Ja Mere Saaqi
Hasarat Hai Dil Mein Baaqi
Ulfat Ka Jaam Pila Ja
Jeene Ka Dhang Bata Ja
Aa Ja Aa Ja Aa Ja Aa Ja
Aa Ja~~

Lataa:
Ye Kis Ne Pukaara Hai Mujhe
Kis Ne Pukaaraa~
Hai Kaun Talabgaar Mera
Kaun Hai Pyaaraa~

Samooh Svar:
Saaqi Main Idhar Hoon
Main Idhar Hoon
Main Idhar Hoon
Main Paas Mein Baitha Hoon
Aur Main Kadamon Mein Pada Hoon

Cho :
Bhar Bhar Ke Jaam Pila De -2
Saaqi Bana De Matavaala
Tu La La La Bas Bana De Matavaala -2



Lataa:
Sharaab-E-Husn Nazar Se Pilaane Aayi Hoon
Main Ek-Ek Ko Bekhud Banaane Aayi Hoon -2
Ada Se Naaz Se Abaro Ke Ik Ishaare Se -2
Dilon Mein Ishq Ka Jaadu Jagaane Aayi Hoon

Cho :
Bhar Bhar Ke Jaam Pila De ...

Lataa:
Nazar Milaao To Dil Ko Qaraar A Jaaye
Har Ek Ada Pe Tum Ko Pyaar A Jaaye
Uthaao Jaam Ke Janata Se Kam Nahi Duniya -2
Piyo Piyo Ke Tumhen Aitabaar A Jaaye -2

Cho :
Bhar Bhar Ke Jaam Pila De ...

Lataa:
Vo Muskura Ke Nigaahen Milaaye Jaate Hain~
Suruur Ban Ke Mere Dil Pe Chhaaye Jaate Hain - 2
Mili Hai Aaj Jo Un Ki Nazar Se Meri Nazar - 2
To Haay Mere Kadam Dagamagaaye Jaate Hain

Cho :
Bhar Bhar Ke Jaam Pila De ...