SONG DETAILS

Meharbaani Aap Ki

TAWAIF

FilmTAWAIF
SingerMAHENDRA KAPOOR
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

dil hi dil mein le liya dil, meharbaani aap ki
dil ke kaabil kahaan ye kadardaani aap ki

apne dil ko kyon na chahoon jis ne chaaha aap ko
ab to mera dil bhi hai jaise nishaani aap ki

aur is duniya mein kya hai jeet ke kaabil bhala
ek mera deewanapan hai ek jawaani aap ki

phadphadaate honth jis ko keh na paaye sharm se
jhukti aankhon ne suna di ye kahaani aap ki