SONG DETAILS

Pyaar Ko Pyaar Ki, Baahon Se Lipat Jaane Do

SAKURA

FilmSAKURA
SingerMADHUSHREE
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

(pyaar ko pyaar ki - 2), baahon se lipat jaane d
aaj bikhare huye jasbaat simat jaane do - 2
(pyaar ko pyaar ki - 2), baahon se lipat jaane do
aaj bikhare huye jasbaat simat jaane do

humko jeena hai abb aazaad parindo ki tarah - 3
jo bhi janjir hai, pairo mein wo kat jaane do - 2
pyaar ko pyaar ki, baahon se lipat jaane do
aaj bikhare huye jasbaat simat jaane do

yuhi baithe raho ai jaan mere pehalu mein - 3
dil se tanahaayi ki har dhundh ko chat jaane do - 2
pyaar ko pyaar ki, baahon se lipat jaane do
aaj bikhare huye jasbaat simat jaane do

bujhane denge na kabhi abb yeh muhabbat ke charaag - 3
rukh haawaayon ke paltate hai palat jaane do - 2
pyaar ko pyaar ki, baahon se lipat jaane do
aaj bikhare huye jasbaat simat jaane do - 2