SONG DETAILS

Sataana Rulaana

SAGAAI

FilmSAGAAI
SingerLATA MANGESHKAR, CHORUS
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

daddyy ji ho daddyy ji
daddyy ji
meri mummy ko sataana nahi achchha -2
sataana rulaana jalaana nahi achchha
ho daddyy ji
meri mummy ko sataana nahi achchha -2

din bhar mein tum pi jaate ho cigarette# ke do tin#
kabhi rasoi mein bhi dekho baratan hain kul teen
dekho ji
ghar ko aag lagaana nahi achchha -2
sataana rulaana ...

subah savere aath baje tum ghar se dafatar jaate
shyaam ko chhutti hoti hai ghar aadhi raat ko aate
dekho ji
itani der se aana nahi achchha -2
sataana rulaana ...

beevi ghar mein chulha phoonke nanha shor machaaye
baap hamaara baap re baap club mein naache gaaye
dekho ji
beevi bachchon ko bhulaana nahi achchha -2
sataana rulaana ...