SONG DETAILS

Saawan Ke Jhule Pade

PYAR KI PYAS

FilmPYAR KI PYAS
SingerLATA, TALAT
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

lata
kahaan chhupe ho man ke mitawaa nainaa bhaye udaase
chhalak rahaa hai sukh kaa saagar hum pyaase ke pyaase
ho ho -2
saawan ke jhule pade -2
sainyaa ji hamen tum kahaan bhule pade
talat:
ye nainaa jo tumase lade gori ji
tori palakan ke niche khade
lata:
saawan ke jhule pade
tum nahin aaye hamako bhule
hamare anganaa phulawaa naa phuule
hamako akeli dekh saheli
kahati hai kyun naa khilati chameli
belariyaa naa mandave chadhe to -2
sainyaa ji hamen tum
talat:
ye nainaa jo tumase
lata:
saawan ke jhule pade
talat:
tore dil mein hamaraa dil hai
jaise tore nain meen til hai
hamare milan bin ye manabhaavan
saawan bhi to kyaa hai saawan
pipal ke patave jhade o -2
ye tore-more jab tak naa nainaa lade
do:
saawan ke jhule pade