SONG DETAILS

Jaane Meri Ankhiyon Ne Dekhaa Hai Kyaa

PYAR KI JEET

FilmPYAR KI JEET
SingerASHA, RAFI
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

rafi
jaane meri ankhiyon ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2
mukhade pe nanhi-nanhi bundon ke dhaare
chandaa ke saath jaise chhote-chhote taare
din mein hain taare ye jaadu hai kyaa
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2

asha:
jaane teri ankhiyon ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
rafi:
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2
asha:
nain kisi ke rote hain apanaa
din ki laali mein dekh aayi sapanaa
ang-ang kisane rang bharaa
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2
rafi:
main hun pujaari tu meri kalaa hai
jahaan tere pag wahaan man bhi chalaa hai
kyaa hai ye naataa zaraa tu hi bataa
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2
asha:
jaane teri ankhiyon ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
rafi:
paani se nikalaa hai chaand nayaa -2