SONG DETAILS

Aaja Mere Baalama Bahana Kar Ke

NAACH - 1949

FilmNAACH - 1949
SingerSURAIYA
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

baat takoon main teri kothe chadh ke -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2

baat takoon main teri kothe chadh ke -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2

( ho saawan aaya hai aayeen thandi hawaayen
thandi hawaayen ) -2
( saath-saath laayi hain wo kaali ghataayen
kaali ghataayen ) -2
achchha nahi rahana duniya se dar ke -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2

pak gaeen ankhiyaan tak-tak raah -2
( dil mein jagi hai tere milane ki chaah
milane ki chaah ) -2
tere milane ko mera jiya dhadake -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2

( ho ke deewaani main to tere pyaar mein
tere pyaar mein ) -2
( khadi hoon main to sajan tere intazaar mein
tere intazaar mein ) -2
dil mein aankhon mein teri yaad bhadake -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2
baat takoon main teri kothe chadh ke -2
aaja mere baalama bahaana kar ke -2