SONG DETAILS

aa, ki meree jaan ko qaraar naheen hai

MIRZA GHALIB

FilmMIRZA GHALIB
SingerMIRZA GHALIB
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

aa, ki meree jaan ko qaraar naheen ha
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheen hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheen hai

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheen hai

hamse abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Khaak meih ushshaaq kee Ghubaar naheen hai

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma' aneeghair-e-gul aainaa-e-bahaar naheen hai

qatl ka mere kiya hai ahad to baare
waae ! akhar ahad ustuwaar naheen hai

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai ' ghalib'
teree qasam ka kuchch ' eitbaar naheen hai !