SONG DETAILS

Dil Dhadakane Ka Sabab Yaad Aaya

MERAJ-E-GHAZAL (NON FILM)

FilmMERAJ-E-GHAZAL (NON FILM)
SingerASHA BHOSLE
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

dil dhadakane ka sabab yaad aay
vo teri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhalana ai dost
tuu musibat mein ajab yaad aaya

din guzaara tha badi mushkil se
phir tera vaadaa-e-shab yaad aaya

tera bhuula hua paimaan-e-vafa
mar rahenge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzare
phir koyi shahar-e-tarab yaad aaya

haal-e-dil ham bhi sunaate lekin
jab wo rukasat huye tab yaad aaya

baith kar saayaa-e-gul mein ' naasir'
ham bahut roye vo jab yaad aaya