SONG DETAILS

Bhula Bhi De Use Jo Baat Ho Gayi Pyaare

MEHRAB (ALBUM)

FilmMEHRAB (ALBUM)
SingerGHULAM ALI
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

bhula bhi de use jo baat ho gayi pyaar
naye charaag jala raat ho gayi pyaare

na teri yaad na duniya ka gam na apana kayaal
ajib suurat-e-haalaat ho gayi pyaare

teri nigaah-e-pashemaan ko kaise dekhuunga
kabhi jo tujhase mulaakaat ho gayi pyaare

kabhi kabhi teri yaadon ki saanwali rut mein
bahe jo ashq to barasaat ho gayi pyaare

wafa ka naam na lega koyi zamaane mein
ham-ahal-e-dil ko agar maat ho gayi pyaare