SONG DETAILS

Ab Ke Ham Bichhade To

MEHFIL-E-GHAZAL (ALBUM)

FilmMEHFIL-E-GHAZAL (ALBUM)
SingerMEHDI HASAN
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

ab ke ham bichhade to shaayad kabhi kaabon mein milei
jis tarah suukhe huye phuul kitaabon mein milein

dhuundh ujade huye logon mein wafa ke moti
ye kazaane tujhe mumkin hai karaabon mein milein

tuu kuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insaan hain to kyuun itane hijaabon mein milein

gam-e-duniya bhi gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badhata hai sharaabein jo sharaabon mein milein

ab na wo main huun na wo tuu hai na wo maazi hai ' faraaz'
jaise do saaye tamanna ke saraabon mein milein