SONG DETAILS

Mann Dheere Dheere Gaya Re

MAALIK

FilmMAALIK
SingerTALAT
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

man dheere dheere gaaye re
maaloom nahi kyon
bin gaaye raha na jaaye re
maaloom nahi kyon

palakon mein chhupa kar gori
laai hai milan ki dori
ab saath hai jeevan bhar ka
lo thaam lo bainya mori
ik baat zubaan par aaye re
maaloom nahi kyon

aashaaon ne li angadaai
tan man mein baji shahanaai
dil doob gaya masti mein
ik lahar khushi ki chhaai
dil haath se nikala jaaye re
maaloom nahi kyon