SONG DETAILS

Main Ek Sadi Se

LEKIN

FilmLEKIN
SingerLATA MANGESHKAR
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

Mm, mm, mm, mm, m
Main ek sadi se baithi hoon - 2
Is raah se koi guzra nahin
Kuch chaand ke rath to guzre the - 2
Par chaand se koi utra nahin
Main ek sadi se baithi hoon - 2
Din raat ke dono pahiye bhi
Kuch dhool udaakar beet gaye, beet gaye
Din raat ke dono pahiye bhi
Kuch dhool udaakar beet gaye
Main man aangan mein baithi rahi - 2
Chaukhat se koi guzra nahin
Main ek sadi se baithi hoon - 2
Aakaash bada buddha baba
Sab ko kuch baant te jaata hai, jaata hai
Aakaash bada buddha baba
Sab ko kuch baant te jaata hai
Aankhon ko nichoda maine bahut - 2
Par koi aansu utra nahin
Main ek sadi se baithi hoon - 2