SONG DETAILS

Jhilmil Sitaron Ka

JEEVAN MRITYU

FilmJEEVAN MRITYU
SingerMHD. RAFI AND LATA MANGESHKAR
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

Jhilmil Sitaron Ka Aangan Hog
Rimjhim Barasta Sawan Hoga
Aisa Sunder Sapna Apna Jeevan Hoga
Prem Ki Gali Mein Ek Chota Sa Ghar Banayenge
Kaliyan Na Mile Na Sahi Kaaton Se Sajayenge
Bagiya Se Sunder Woh Ban Hoga
Rimjhim Barasta Sawan Hoga

Teri Aankhon Se Saara Sansar Mein Dekhoongi
Dekhoongi Is Paar Ya Us Paar Mein Dekhoongi
Nainon Ko Tera Hi Darshan Hoga
Rimjhim Barasta Sawan Hoga

Phir To Mast Hawaon Ke Hum Jhonke Ban Jayenge
Naina Sunder Sapnon Ke Jharonkhe Ban Jayenge
Man Aashaon Ka Darpan Hoga
Rimjhim Barasta Sawan Hoga