SONG DETAILS

Aramaan Bhare Dil Ki Lagan Tere Liye Hai

JAAN PEHCHAAN

FilmJAAN PEHCHAAN
SingerTALAT, GEETA
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

aramaan bhare dil ki lagan tere liye hai -
ho lagan tere liye hai - 2
nazarein mere jivan ki sajan tere liye hai
ho sajan tere liye hai - 2

luuta hai mere dil ne mohabbat ka khazaana
ho mohabbat ka khazaanaa - 2
jo teri kahaani hai vahi mera fasaana
ho vahi mera fasaanaa - 2
ye phuul ye khushbu ye chaman tere liye hai
ho chaman tere liye hai - 2
aramaan bhare dil ki lagan tere liye hai

kyon pyaar ki duniya mein na ho raaj hamaara
kyon na ho raaj hamaaraa - 2
hai dil ko teri naragisi aankhon ka sahaara
teri aankhon ka sahaaraa - 2
ye chaand ye chaand ye dharati ye gagan tere liye hai
ho gagan tere liye hai - 2

aramaan bhare dil ki lagan tere liye hai - 2
ho lagan tere liye hai - 2
nazarein mere jivan ki sajan tere liye hai
ho sajan tere liye hai - 2