SONG DETAILS

Ban Ke Chakori Gori Jhuum-Jhuum Naacho Ri

HUM MATWALE NAUJAWAN

FilmHUM MATWALE NAUJAWAN
SingerMUKESH
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

ban ke chakori gori jhuum-jhuum naacho r
ban ke chakori gori jhuum-jhuum

rut laharaaye aanchal ban ke taare hanse jab paayal chhanake
jhaanke baadal se chanda daare nainon ka phanda
ulajhi zulfon ki dori
jhuum jhuum naacho ri

jhuum rahi hai har raat ki ganga dipak naache gaaye patanga
aankhon ne daala ghera phir bhi matavaala tera
aaya hai chori chori
jhuum jhuum naacho ri

kabhi chale tan ke kabhi jhuk jaaye nil gagan dole ruk jaaye
naach ja kaajal vaali raina hai kaali kaali
o gori gori chhori
jhuum jhuum naacho ri