SONG DETAILS

Guunje Gagan Guunje Lalakaarein Ham

GOD MOTHER

FilmGOD MOTHER
SingerROOP KUMAR RATHOD, CHORUS
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

he ji re guunje gagan guunje lalakaarein ha
dharati kaanpe din raina chali mahaarathiyon ki sena he ji re
guunje gagan guunje

ruup tum pralay ka liye ran mein jalo jalo ran mein jalo
shastra khanakate hain badho aakraman karo badho aakraman karo
suurama ho tumhin haan tum hi vir ho
yuddh ki bela mein chhod do sanyam
guunje gagan guunje

antim vikat yuddh hoga yahin yuddh hoga yahin
ai rakt hi upalega dhara se har kahin dhara se har kahin
thaan lo tum nahin ya shatru nahin
arjun bhi tum ho tum hi shivam
guunje gagan guunje