SONG DETAILS

But Bane Baithe Hain Kuchh Baat Banaate Bhi Nahin

FROM BHUPINDER WITH LOVE (ALBUM)

FilmFROM BHUPINDER WITH LOVE (ALBUM)
SingerBHUPINDER
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

but bane baithe hain kuchh baat banaate bhi nahi
aur ye gussa ke main ruuthuun to manaate bhi nahin

aage aayine ke baithe hain jhukaaye nazarein
chot khaate bhi nahin chot lagaate bhi nahin

kuchh wafa kuchh hai haya jaan hai kis mushqil mein
dil se jaate bhi nahin aankhon mein aate bhi nahin

lutf marane ka dikhaayein kise furaqat mein ' amir'
wo nahin aate to ham jaan se jaate bhi nahin

kuub parda hai ke chilaman se lage baithe hain
saaf chhupate bhi nahin saamane aate bhi nahin