SONG DETAILS

Bada Ajib Mohabbat Ka Ye Fasana Hai

FILM HITS - PANKAJ UDHAS

FilmFILM HITS - PANKAJ UDHAS
SingerPANKAJ UDHAS
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

bada ajib mohabbat ka ye fasana hai -
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai

jo jisko chahata hai woh usse nahi milta - 3
kaisa dastoor hai duniya ka kya zamana hai - 2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai

tu kis tarah se bachega nazar ke tironse - 3
har ek simt se tera hi dil nishana hai - 2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai

panaah lega iss chaman mein kis shajar par tu -3
har ek shaakh pe mera hi aashiyana hai -2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai