SONG DETAILS

Mere Dil Mein Teri

EK HANS KA JODA

FilmEK HANS KA JODA
SingerASHA BHOSLE
Lyricist—
Composer—
Music Director—
Year—
Actor—
Actress—

Lyrics

mere dil mein teri tasaveer sada rehti hai
meri taqdeer mein tu hai ya nahi kya jaanu

tere haathon ki haraarat hain mere haathon mein
khwaab bankar tu bas gaya hain meri raaton mein
main tasavvur mein tere hu ya nahi kya jaanu

pyar ke phool nigaahon mein khila karte the
kabhi ham tum yahi har roz mila karte the
phir tere man mein milenge ya nahi kya jaanu

phir yu hi chaand ke mukhade pe javaani hogi
phir yu hi jhoomati nadiyon mein rawaani hogi
tu mere saamane hoga ya nahi kya jaanu